5. . watan se mohabbat
Yeh hr zee rooh ki
fitrat h k wo apny ghar sy pyar krta h hywan apny ghar sy pyar krty hn agr
hywan apny ghar sy pyar krty hn to yeh ashrafulmakhluqat k leay kysy mumkin h k
wo apny watan sy pyar na kry.meray watan sy muhabat joz-o-iman h.
Cheen o arab hmara Hindustan hmara
Muslim hn hm watan h sara jahan hmara
Aj hm aisy dor sy guzr rhy hn k jb hm ny khud ko tafriq kr
lia h.1947 tk hm ak muslman qom thy hm ny km hony k bhawajoud engrazon aur
hindoun ka hr jaga muqabla kia.hmri izatain loutein hmry karobar tabha huay
khoon ki nadian bha dein lakon shahidon ka khoon is watan ki bunayad bnaney
main kherch ho gea .or tb kahin ja ker Pakistan ka hasool mumkin hua.is watan
ki bunyad rakhnay k lie hmari be gor-o-kafan lashun ko dafn kerney wala koi na
tha or kaha ye jata h k un ko gidhon ne bhabor dala tha lakin afsoos ka mukaam
ye h k aj hmarey mulk Pakistan ko apney he gid or gider bhabor rhe hn .
1947 main hm ne
aik qoom ki terha apney saffer ki ibtidha ki the lakin 24 saalon main hm ne
khud ko Pakistanio or bangalion main takseem ker dia Pakistan do lakht ho gea
or skoot Dhaka jesa waqia muslman qom ki peshani ka dagh bun gea lakin hm is se
abi tk sabak na sikh skay hm ne jo dewarain 1971 main kharin kithe wo ab her
jagha ser utha rhe hn.
Mger watan kch hn log aesey
Jo tere haq main sehi nai hn
Hawas se un ki ragon main ab kch
Watan ki ulfat rhe nai h
Mere lie mere watan se muhabbat juzo iman h or
iman kbi bhi yakta nai h kbi bi becha ni jata kbi taqseem nai hota kbi qurban
hai kia ja skta jitni muhabbat hmay apney watan se aj zerurat h phele kbi na
the .aj hmay bahesiat Pakistani khud ko aik qom ki terha kherha kerna ,mothid
kerna h or khud se pasmanda logon ko khera honey main madad deni h .aj hmarey
dushman hmari taak main hn wo Pakistan ko do lakht ker k khush ni hueyabi unhon
ne hmay or takseem kerna h .ager aj hm ne jina h or aik azad or bawaqar qomki
terha akwam-e-alam main ser utha ker jina h to hmay pathan,Punjabi,sindhior
balochi se bala ho ker sochna hoga .hmay pakistanj ho ker sochna ho ga isi main
hmari bakah h or isi main iman ki salamti h .
No comments:
Post a Comment