Saturday 25 January 2014

Application for Job Confirmation

District education officer (M-EE) Chakwal
Subject: Job Confirmation
Respected sir,
                        With due respect it is stated that, I was appointed as SESE (math) via order no. 1628 dated 2-9-2012. I joined GES Chumbi dated 6-9-2012.I am submitting my confirmation case according to the orders of higher authorities for consideration. The required documents are attached with the application.  
            I would be grateful for considering my application.
Yours obediently,
Ali Murtaza, SESE (Math),

GES Chumbi.

Monday 20 January 2014

to dowload jus click on link a new windows will open now look on top right corner of new window and click on download

 roll_no_slip_5th_2014_chakwal

roll_no_slip_8th_2014_chakwal

Friday 3 January 2014

. watan se mohabbat

5.         . watan se mohabbat                                                                                                         
  Yeh hr zee rooh ki fitrat h k wo apny ghar sy pyar krta h hywan apny ghar sy pyar krty hn agr hywan apny ghar sy pyar krty hn to yeh ashrafulmakhluqat k leay kysy mumkin h k wo apny watan sy pyar na kry.meray watan sy muhabat joz-o-iman h.
                         Cheen o arab hmara Hindustan hmara
                        Muslim hn hm watan h sara jahan hmara                                  
Aj hm aisy dor sy guzr rhy hn k jb hm ny khud ko tafriq kr lia h.1947 tk hm ak muslman qom thy hm ny km hony k bhawajoud engrazon aur hindoun ka hr jaga muqabla kia.hmri izatain loutein hmry karobar tabha huay khoon ki nadian bha dein lakon shahidon ka khoon is watan ki bunayad bnaney main kherch ho gea .or tb kahin ja ker Pakistan ka hasool mumkin hua.is watan ki bunyad rakhnay k lie hmari be gor-o-kafan lashun ko dafn kerney wala koi na tha or kaha ye jata h k un ko gidhon ne bhabor dala tha lakin afsoos ka mukaam ye h k aj hmarey mulk Pakistan ko apney he gid or gider bhabor rhe hn .
     1947 main hm ne aik qoom ki terha apney saffer ki ibtidha ki the lakin 24 saalon main hm ne khud ko Pakistanio or bangalion main takseem ker dia Pakistan do lakht ho gea or skoot Dhaka jesa waqia muslman qom ki peshani ka dagh bun gea lakin hm is se abi tk sabak na sikh skay hm ne jo dewarain 1971 main kharin kithe wo ab her jagha ser utha rhe hn.
                           Mger watan kch hn log aesey
                           Jo tere haq main sehi nai hn
                           Hawas se un ki ragon main ab kch
                           Watan ki ulfat rhe nai h
Mere lie mere watan se muhabbat juzo iman h or iman kbi bhi yakta nai h kbi bi becha ni jata kbi taqseem nai hota kbi qurban hai kia ja skta jitni muhabbat hmay apney watan se aj zerurat h phele kbi na the .aj hmay bahesiat Pakistani khud ko aik qom ki terha kherha kerna ,mothid kerna h or khud se pasmanda logon ko khera honey main madad deni h .aj hmarey dushman hmari taak main hn wo Pakistan ko do lakht ker k khush ni hueyabi unhon ne hmay or takseem kerna h .ager aj hm ne jina h or aik azad or bawaqar qomki terha akwam-e-alam main ser utha ker jina h to hmay pathan,Punjabi,sindhior balochi se bala ho ker sochna hoga .hmay pakistanj ho ker sochna ho ga isi main hmari bakah h or isi main iman ki salamti h .         

4 Maan ka piyar

                                                      4 Maan ka piyar
Agr insan ko dakha jay to is dunia main wo rishton ki taron main bandha hua h .Bhai ,behan,maan ,baap aesey rishtey hnk jin ka khamir mohabbat se ghunda gea h lakin maan aik aesa rishta h jis ka koi nemobadel ni h. Maan k lafz k lie yie kehna ghalt na hoga k ye mohabbat ka samander h jo k apni olaad ki mohabbat se bhera hua h .Maan aik aesa rishta h jo olaad ki pershani main pershan or khushi main khush hoti h.
                        Maan k rishtay ki ehmiat ka andaza is baat se lagaya jata h k Allah tahla ne jb apni mohabbat ki missal dena chae to fermaya k Allah sather maoun se zyada insan se mohabbat kerta h .is se ye baat wazhey hoti h k dunia main jitney rishtey hnis main koi aesa rishta ni h k jis ki missal di ja skti h.
                      Maan jesi azeem hasti aik aesi hasti  k jb bachais dunia main ata h to wo is per apni mumta nichawer ker dati h is ko apna skoon,apni neend,apna khana pina kvh yad ni hota.us ko yad hota h sirf apna bacha us ki sari zindagi is bachay k gird ghumti h ager hm thori dair k lie sochain k ager maan ka piyar na hota to kia dunia main koi jawan ho skta tha ?

                      Maan ki dua her waqat apni ulad k lie nikelti h .Maan ki dua hmari hifazat kerti h ,maan ki dua hmay masayb o mushkilat se bachati h .Ye he wajha k Hazrat MUSA (A.S) ko hukam hua tha k aj Allah ki bargha main jootey utar k ana kun k aj dua kerney wali tmhari maan foat ho chuki h .Hummay chae k hm is azeem hasti ka khyal rakhyn uski khydmat kerayn kun k maan k qadmoon telay jaanat h.

Allah ki nematain be shumar

3                                    Allah ki nematain be shumar
                           Tere    hn     jalway    charoo   teraf
                          Hazaroon nishan hn hazaroon teraf
Allah tahla ki zaat-e- bari aik aesi zaat h jis ne is kaynat ko takhliq kia h or  kaynat ki her cheez ko insan k tabeh ker dia h .hm age isbaat pe ghor kerain to hamay her terf Allah ki nehmatoon ki ferawani nazer ati h.hm ager beri beri chezain dakhayn jesay sooraj na sirf  hmay munasib roshani or herarat ferham ker rha bul k kai or fawaid bi ferham ker rha h k jin per hmari nazer ni jati faslon ka pakna,barishon ka brasna ye sb b isi ki wajha se h. Ye zameen jiska fersh na sirf hmarey rehney ki jaga hbulkey is dherti se hmarey lie khurak b Allah tahla paida ferma rha h
                        Behasiat insan agr ghor kia jay to ye baat hmarey samney khul ker ati h k hmara insan hona he hmarey lie bht beri nehmat h Allah tahla ne tmam makhlukat paida kien or is main insan ko asraf-u- makhlukat bnaya  or tmam chezain is k tabeh ker dien .insan k pass akal h k jisko istimal main la ker zameen ko the bala ker rha h or aj wo chand our sitaron per kamandain dal rha h .
                       Allah tahla ki nehmaton ka shumar kerney bhetha jay to waqat km perh jay ga safhat khtm ho jain gay roshaniea sath chor dein ge our Allah tahla ki nehmatain biaan na ho payn gein .Allah tahla ki ye memat kia km h k jis ne insan ko banya our zameen per khalifa bna ker bheja or jb b insan ko zerurat peri us ne apney berghzida bnday maboos fermain k jo in ko rooh-e zameen per rheney ka terika or salika sikha skyn.sub se berah keram khatum-un-nabin Hazrat Muhammad ki basat h or un per nazal ki gae ilhami kitab Quran pak h ye dono aesi nehmatain hn jinho ne insan ko insan bnana sikha dia na sirf ye choda  so saal phele k insan k lie b nehmat h or qiamat tak k insanon k lie b nehmat h kun k quran or sunnat ko le ker insan aesi zindagi g sakta h k jis main insan Allah ki haqiqi nehmaton ka shuker b ada ker skta h or is dunia main aney ka maqsad b pura ho skta h.

                     Aayn hm aj quran o sunnat ko tham lain or aesey insan bun jain k jo Allah ki nehmaton ka shuker ada kerney waley honor dunia ko aik asi pur aman  amajgha bna dain k jo aman –o-ashti ki dunia ho or wohi dor wapis a jay kisi ko kisi per fazilat na the k jab er kisi ki izat mehfooz the our her kisi ko is baat ki fiker ho k dunia chand roza hor wapis is hasti k hazoor hazir hona h k jis ne hammay bht c nehmaton se nawaza h.       

Waqat k lamhay mooti heeray

2   Waqat k lamhay mooti heeray


                               Waqat per kafi h qatra-e-aber  josh hungam ka
                               Jal gea jab khyt  mieen  bersa to phr kis kam ka
Allah tahala ne is kaynat ko takhliq kia or itney monazam tarikay se takhliq kia k kahin is main koi kmi nazer ni ati .is main sb se bri cheez waqat ki pabandi h ager hm kaynat k nizam pe ghor kerayn to ye waziya h k jasey kaynat ki her cheez waqat ki qaid main h sooraj ka talooh o gheroob ,mosamoon ka ult phair is baat ki choti c misalain hn .
                     Jb qudrat waqat per amal ker rhe h to kia ye hm per ferz ni bnta k hm is ki niyat ko smjhayn .waqat ka her lamha mooti heeray ki manid h or ager ye hmarey hathse nikal gea to ye hmarey haath na ay ga is lie hammy is ka kyal rakhna h .hamarey pass jo is waqat lamha guzer rhah hmey is lamhay se faida uthana chae .kun k waqat ka ghora kisi ka ni h ye usi ka h jis ne is ki lagam ko apney bus main ker lia
                                Gea waqat phir haath ata ni
                                Sdaa aeshey doraan dekhata ni
Hm ager talib-ilm hn to hmay is ki qeemat ka zyada andaza hona chae kun k aj jo hmarey pass waqat h wo kl  hmara ni h.hamara aj hmarey kal ka zamin h .ager aj hm ne waqat k heeray mooti samayt lie hnto kal hamara h ni to hamarey haath main kl kuch ni rhe ga .ager hm ne aj berbad kia to hamara kl berbad ho jay ga
                               Moshakat ki zilt jinhon ne uthai
                               Jahan main mili un ko akhir berai
                               Kisi ne baghair is k hergiz na pai

                               Na izat na doolat na ferma rawai

Ustad insan Saz h

                             1     Ustad  insan Saz h
Insan ne jab se is rooye zameen per  qadam rakha to ye jahan rang-o-boo esa na tha insan ne ahista ahista  zameen per phelna shuroon kia aj wo apney ilam ki badolat zameen ko ser ker chukka h us ne is ki hawaoun ko apney   qabzay main ker lia h aur zameen ki patal main chupay huey  khazano ko bahir nikal nay per majboor ker dia h. Insan ki taraki k adwar per nazer dorai jay to is main itney nasheb-o-feraz hn k insan khud  mehway  herat h.
                                        Ustad insan saz h is lie k is ne insan ko is kabil bnaya h k wo aj aik aesi zindagi guzaar rha h k jis ka wo kabhi  khawab  bhe ni dekh skta  tha aj wo haqiqat h.lykn ustad ka  asal maqsad insan ko us makam tk pounchana h jo ashrafulmakhluqat ka makam h.Aj afra tafri ka dor h ya youn kha jay k  dor nafaq h to kuch ghalt na ho ga.Wo insan jis ny insaniat ka makam hasil krny k leay sadion ka safar teh kia tha apny makam sy gir gaya h wo apni is hawani joon main wapis lot aya h k jis main is ny ibtada ki the.
                                         Aj agr is pury nizam  ko bacha skta h to wo ustad h ustad jo kisi bhe moshary ki bunayad ko mazbout krta h aur is mazbout bunayad  ki wajha wo moshra duniayalam main sar utha kr je skta h.Is ki sb sy bari missal sarwary kaynat Hazzur(SAW) ki zaat h unho ny khud farmaya h k mujh mualam bna kr behjha gaya.Aur ap(SAW) ne aik ustad ki tara rehnomai ki aur insan ko azmat k makam sy sarfraz farmaya  k aisi insazi ki bunyad peri  k insani  tareikh na to is ki phly koi missal pyash kr pai aur na is k bd.                                                                                                                               

                                          Ustad agr insan sazi k farz sy odha bra ho skta h to aj b hm main insan pyadha ho skty hn.Wo insan k jinno ny hmri tareikh ko zariyn tareikh main badal dya tha. Lykn kha yeh jata h k wo ustad khain kho gy hn.main is baat ko ni manta aj b hm main molvi Mir Hassan majoud hn lykn molvi Mir Hassan ko izat dyny waly majoud ni bht  afsos sy khyna pharta h k ustad ko wo makam he ni dya ja rha k jo is ka haqiqe makam h.  Aisy halaat main koi molvi mir Hassan, iqbal jasi kitab kasey likh pay ga.