1 Ustad
insan Saz h
Insan ne jab se is rooye zameen per qadam rakha to ye jahan rang-o-boo esa na tha
insan ne ahista ahista zameen per phelna
shuroon kia aj wo apney ilam ki badolat zameen ko ser ker chukka h us ne is ki
hawaoun ko apney qabzay main ker lia h
aur zameen ki patal main chupay huey
khazano ko bahir nikal nay per majboor ker dia h. Insan ki taraki k
adwar per nazer dorai jay to is main itney nasheb-o-feraz hn k insan khud mehway
herat h.
Ustad
insan saz h is lie k is ne insan ko is kabil bnaya h k wo aj aik aesi zindagi
guzaar rha h k jis ka wo kabhi
khawab bhe ni dekh skta tha aj wo haqiqat h.lykn ustad ka asal maqsad insan ko us makam tk pounchana h
jo ashrafulmakhluqat ka makam h.Aj afra tafri ka dor h ya youn kha jay k dor nafaq h to kuch ghalt na ho ga.Wo insan
jis ny insaniat ka makam hasil krny k leay sadion ka safar teh kia tha apny
makam sy gir gaya h wo apni is hawani joon main wapis lot aya h k jis main is
ny ibtada ki the.
Aj agr
is pury nizam ko bacha skta h to wo
ustad h ustad jo kisi bhe moshary ki bunayad ko mazbout krta h aur is mazbout
bunayad ki wajha wo moshra duniayalam
main sar utha kr je skta h.Is ki sb sy bari missal sarwary kaynat Hazzur(SAW)
ki zaat h unho ny khud farmaya h k mujh mualam bna kr behjha gaya.Aur ap(SAW)
ne aik ustad ki tara rehnomai ki aur insan ko azmat k makam sy sarfraz
farmaya k aisi insazi ki bunyad
peri k insani tareikh na to is ki phly koi missal pyash kr
pai aur na is k bd.
Ustad
agr insan sazi k farz sy odha bra ho skta h to aj b hm main insan pyadha ho
skty hn.Wo insan k jinno ny hmri tareikh ko zariyn tareikh main badal dya tha.
Lykn kha yeh jata h k wo ustad khain kho gy hn.main is baat ko ni manta aj b hm
main molvi Mir Hassan majoud hn lykn molvi Mir Hassan ko izat dyny waly majoud
ni bht afsos sy khyna pharta h k ustad
ko wo makam he ni dya ja rha k jo is ka haqiqe makam h. Aisy halaat main koi molvi mir Hassan, iqbal
jasi kitab kasey likh pay ga.
No comments:
Post a Comment