2 Waqat k lamhay mooti
heeray
Waqat per kafi h qatra-e-aber
josh hungam ka
Jal gea jab
khyt mieen bersa to phr kis kam ka
Allah tahala ne is kaynat ko takhliq kia or itney monazam
tarikay se takhliq kia k kahin is main koi kmi nazer ni ati .is main sb se bri
cheez waqat ki pabandi h ager hm kaynat k nizam pe ghor kerayn to ye waziya h k
jasey kaynat ki her cheez waqat ki qaid main h sooraj ka talooh o gheroob
,mosamoon ka ult phair is baat ki choti c misalain hn .
Jb
qudrat waqat per amal ker rhe h to kia ye hm per ferz ni bnta k hm is ki niyat
ko smjhayn .waqat ka her lamha mooti heeray ki manid h or ager ye hmarey hathse
nikal gea to ye hmarey haath na ay ga is lie hammy is ka kyal rakhna h .hamarey
pass jo is waqat lamha guzer rhah hmey is lamhay se faida uthana chae .kun k waqat
ka ghora kisi ka ni h ye usi ka h jis ne is ki lagam ko apney bus main ker lia
Gea waqat phir
haath ata ni
Sdaa aeshey
doraan dekhata ni
Hm ager talib-ilm hn to hmay is ki qeemat ka zyada andaza
hona chae kun k aj jo hmarey pass waqat h wo kl
hmara ni h.hamara aj hmarey kal ka zamin h .ager aj hm ne waqat k heeray
mooti samayt lie hnto kal hamara h ni to hamarey haath main kl kuch ni rhe ga
.ager hm ne aj berbad kia to hamara kl berbad ho jay ga
Moshakat ki zilt jinhon ne uthai
Jahan main mili un ko akhir berai
Kisi ne baghair is k hergiz na pai
Na izat na doolat na ferma rawai
No comments:
Post a Comment