3 Allah ki nematain be shumar
Tere hn jalway
charoo teraf
Hazaroon nishan hn hazaroon teraf
Allah tahla ki zaat-e- bari aik aesi zaat h jis ne is kaynat
ko takhliq kia h or kaynat ki her cheez
ko insan k tabeh ker dia h .hm age isbaat pe ghor kerain to hamay her terf
Allah ki nehmatoon ki ferawani nazer ati h.hm ager beri beri chezain dakhayn
jesay sooraj na sirf hmay munasib
roshani or herarat ferham ker rha bul k kai or fawaid bi ferham ker rha h k jin
per hmari nazer ni jati faslon ka pakna,barishon ka brasna ye sb b isi ki wajha
se h. Ye zameen jiska fersh na sirf hmarey rehney ki jaga hbulkey is dherti se
hmarey lie khurak b Allah tahla paida ferma rha h
Behasiat insan agr ghor kia jay to ye baat hmarey samney khul ker ati h
k hmara insan hona he hmarey lie bht beri nehmat h Allah tahla ne tmam
makhlukat paida kien or is main insan ko asraf-u- makhlukat bnaya or tmam chezain is k tabeh ker dien .insan k
pass akal h k jisko istimal main la ker zameen ko the bala ker rha h or aj wo
chand our sitaron per kamandain dal rha h .
Allah tahla ki nehmaton
ka shumar kerney bhetha jay to waqat km perh jay ga safhat khtm ho jain gay
roshaniea sath chor dein ge our Allah tahla ki nehmatain biaan na ho payn gein
.Allah tahla ki ye memat kia km h k jis ne insan ko banya our zameen per
khalifa bna ker bheja or jb b insan ko zerurat peri us ne apney berghzida bnday
maboos fermain k jo in ko rooh-e zameen per rheney ka terika or salika sikha
skyn.sub se berah keram khatum-un-nabin Hazrat Muhammad ki basat h or un per
nazal ki gae ilhami kitab Quran pak h ye dono aesi nehmatain hn jinho ne insan
ko insan bnana sikha dia na sirf ye choda so saal phele k insan k lie b nehmat h or qiamat tak k
insanon k lie b nehmat h kun k quran or sunnat ko le ker insan aesi zindagi g
sakta h k jis main insan Allah ki haqiqi nehmaton ka shuker b ada ker skta h or
is dunia main aney ka maqsad b pura ho skta h.
Aayn hm aj quran o sunnat ko tham lain or aesey insan bun jain k jo
Allah ki nehmaton ka shuker ada kerney waley honor dunia ko aik asi pur
aman amajgha bna dain k jo aman –o-ashti
ki dunia ho or wohi dor wapis a jay kisi ko kisi per fazilat na the k jab er
kisi ki izat mehfooz the our her kisi ko is baat ki fiker ho k dunia chand roza
hor wapis is hasti k hazoor hazir hona h k jis ne hammay bht c nehmaton se
nawaza h.
No comments:
Post a Comment