4 Maan ka piyar
Agr insan ko dakha jay to is dunia main wo rishton ki taron
main bandha hua h .Bhai ,behan,maan ,baap aesey rishtey hnk jin ka khamir
mohabbat se ghunda gea h lakin maan aik aesa rishta h jis ka koi nemobadel ni
h. Maan k lafz k lie yie kehna ghalt na hoga k ye mohabbat ka samander h jo k
apni olaad ki mohabbat se bhera hua h .Maan aik aesa rishta h jo olaad ki
pershani main pershan or khushi main khush hoti h.
Maan k rishtay ki ehmiat ka andaza is baat se lagaya jata h k Allah
tahla ne jb apni mohabbat ki missal dena chae to fermaya k Allah sather maoun
se zyada insan se mohabbat kerta h .is se ye baat wazhey hoti h k dunia main
jitney rishtey hnis main koi aesa rishta ni h k jis ki missal di ja skti h.
Maan jesi azeem hasti aik aesi hasti
k jb bachais dunia main ata h to wo is per apni mumta nichawer ker dati
h is ko apna skoon,apni neend,apna khana pina kvh yad ni hota.us ko yad hota h
sirf apna bacha us ki sari zindagi is bachay k gird ghumti h ager hm thori dair
k lie sochain k ager maan ka piyar na hota to kia dunia main koi jawan ho skta
tha ?
Maan ki dua her waqat apni ulad k lie nikelti h .Maan ki dua hmari
hifazat kerti h ,maan ki dua hmay masayb o mushkilat se bachati h .Ye he wajha
k Hazrat MUSA (A.S) ko hukam hua tha k aj Allah ki bargha main jootey utar k
ana kun k aj dua kerney wali tmhari maan foat ho chuki h .Hummay chae k hm is
azeem hasti ka khyal rakhyn uski khydmat kerayn kun k maan k qadmoon telay
jaanat h.
No comments:
Post a Comment